Wah Kya Juud O Karam
wah kyā jūd o karam hai Shāh e baţ-ĥā terā
nahīñ suntā hi nahīñ māñgne wālā terā
dhārey chaltey haiñ áţā kay woh hai qaţrah terā
tārey khiltey haiñ sakhā kay woh hai zarrah terā
fayz hai yā shāh e tasnīm nirālā terā
āap pyāsoñ kay tajassus meiñ hai dariyā terā
aghniyā paltay haiñ dar say woh hai bāđā terā
asfiyā chaltay haiñ sar say woh hai rastā terā
aāsmañ khwān zamīñ khwāñ zamānah mihmāñ
şāĥib e khāna laqab kis ka hai? terā, tera.
maiñ to mālik hi kahūñ gā ke ho mālik ke ĥabīb
yánī maĥbūb o muĥibb meiñ nahiñ merā terā
teray qadmoñ meiñ jo haiñ ghayr ka muñh kya dekheñ
kaun nazroñ pay chadhay dekh ke talwā terā
baĥr e sā’yil ka huñ sā’yil na kuñwoñ kā pyāsā
khud bujhā jāaye kalejā mira chhīñtā terā
chor ĥākim say chupā kartay haiñ yāñ uskay khilāf
tere dāman meiñ chupay chor anokhā terā
aānkheñ thandi hoñ jigar tāzay hoñ jāneñ sayrāb
sachhay sūraj woh dil-ārā hai ujālā terā
dil ábas khauf say pattā sa udā jāta hai
palla halkā sahi bhārī hai bharosā terā
Translation of the Na’at
Commentary of the Na’at